magar nahin tha faqat 'mir' khwar main bhi tha ki ahl-e-dard mein aashufta-kar main bhi tha saba ki tarah use bhi na tha sabaat kahin na jaane kya tha bahut be-qarar main bhi tha panah leni padi thi mujhe bhi sae mein rahin-e-minnat-e-diwar-e-yar main bhi tha hazar apni tabiat pe jabr karta tha main sabr karta tha be-ikhtiyar main bhi tha ye kis ne dekha ki mujh be-nawa ke daman mein mohabbaten thin bahut saya-dar main bhi tha