maghruri mein kis ko kis ka dhyan raha dariya bhi apne ko sagar man raha jab tuta tha thode din be-jaan raha phir bhi dil to dil hai dil nadan raha mera qatil mere andar tha lekin marte dam tak main us se anjaan raha dukh ne hi jiwan bhar sath diya mera sukh to kewal do din ka mehman raha wo bhi mujh ko do din mein hi bhul gaya mera bhi aage rasta aasan raha