mah-o-anjum kahkashan ke aashiyanon se pare

mah-o-anjum kahkashan ke aashiyanon se pare
aakhiri manzil hai meri aasmanon se pare

aise aalam mein haqiqat ka ho kaise inkishaf
wo abhi pahunche nahin hain dastanon se pare

ek tufan se dilon ki kashtiyan hain muntashir
ek tufan muntazir hai baadbanon se pare

aap apni ambarin zulfen hawa mein khol den
khushbuen to ja chuki hain gulistanon se pare

khastagi se jin ki qaem hai mohabbat shahr mein
kuchh makan aise bhi hain unche makanon se pare

nasl-e-adam ke sabhi afrad hain is mein sharik
ye jahan ek khandan hai khandanon se pare

aao hum 'asrar' dekhen kya wahan hai khas mod
uth rahi hai gard si kuchh karwanon se pare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close