mahakta hua aaj sara chaman hai

mahakta hua aaj sara chaman hai
bahaaron ka maskan mera hi watan hai

gulon ka jo nikhra hua sa badan hai
ajab hai nazakat ghazab bankpan hai

sukhan ka ye rasta bahut hi kathin hai
magar har sukhnawar isi mein magan hai

to jaun kahan us gali se jo niklun
kahin bhi rukun main usi ki lagan hai

khade hain pareshan yahan par sabhi jo
jahan dekhte hain faza mein ghutan hai

ba-zahir jo karte hain ulfat ki baaten
unhi ke dilon mein hasad hai jalan hai

'hina' tum bata do kahan hai wo manzil
ye rasta hai kaisa ye kaisi thakan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close