mahfil-e-dar mein hangama-e-sar baqi hai

mahfil-e-dar mein hangama-e-sar baqi hai
shukr hai silsila-e-fikr-o-nazar baqi hai

raat ke ba'd bhi raat aane ka dar baqi hai
kuchh sahi phir bhi ek imkan-e-sahar baqi hai

dil kahan dil ki jagah us ki nazar baqi hai
aaina tut gaya aaina-gar baqi hai

dil ki dahliz se rukhsat huin yaaden kitni
ek teri nim-nigahi ka asar baqi hai

rahbar sath hain ek ek qadam par lekin
ye to batlae koi kitna safar baqi hai

dil lahu hum ne kiya hath lahu hum ne kiye
phir bhi ek silsila-e-kar-e-hunar baqi hai

kis liye hadsa-e-waqt se darte ho 'majid'
sang aate hi rahenge jo ye sar baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close