mahfil mein to bas wo saj raha hai apne ko jo kuchh samajh raha hai dastak tere hath ki hai lekin darwaza hawa se baj raha hai nikla tha main ghar se munh-andhere ab raat ka ek baj raha hai phir khud ko dikhai de gaya hun phir soch ka tar ulajh raha hai is daur ka hai wahi payambar jo apne huquq taj raha hai kya ho jo kahin baras pade wo ab tak jo faqat garaj raha hai itna bhi nahin hun main to 'rashid' jitna mujhe wo samajh raha hai