mahfilen KHwab huin rah gae tanha chehre

mahfilen khwab huin rah gae tanha chehre
waqt ne chhin liye kitne shanasa chehre

sari duniya ke liye ek tamasha chehre
dil to parde mein rahe ho gae ruswa chehre

tum wo bedard ki mud kar bhi na dekha un ko
warna karte rahe kya kya na taqaza chehre

kitne hathon ne tarashe ye hasin taj-mahal
jhankte hain dar-o-diwar se kya kya chehre

soe patton ki tarah jagti kaliyon ki tarah
khak mein gum to kabhi khak se paida chehre

khud hi virani-e-dil khud hi charagh-e-mahfil
kabhi mahrum-e-tamanna kabhi shaida chehre

khak udti bhi rahi abr barasta bhi raha
hum ne dekhe kabhi sahra kabhi dariya-chehre

yahi imroz bhi hangama-e-farda bhi yahi
pesh karte rahe har daur ka naqsha chehre

dip jalte hi rahe taq pe armanon ke
kitni sadiyon se hai har ghar ka ujala chehre

khatm ho jaen jinhen dekh ke bimari-e-dil
dhundh kar laen kahan se wo masiha chehre

dastan khatm na hogi kabhi chehron ki 'jamil'
husn-e-yusuf to kabhi ishq-e-zulekha chehre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close