mahka hai gul-e-khun-e-wafa jaaniye kya ho jalti hai koi sham-e-hina jaaniye kya ho bandish hai nigahon pe dil-o-jaan pe hain pahre tabir teri khwab-e-wafa jaaniye kya ho muddat se kisi zulf ki khushbu nahin aati masrufiyat-e-dast-e-saba jaaniye kya ho shoala sa lapakta hai koi rauzan-e-dar se khandan hai phir ek bint-e-haya jaaniye kya ho thahri hai saba gardish-e-aflak ruki hai kasta hai koi band-e-qaba jaaniye kya ho baqi hai abhi talkhi-e-zahrab labon par hai phir lab-e-saqi pe sala jaaniye kya ho