mahram-e-raaz-e-haram hun waqif-e-but-khana hun main rah-o-rasm-e-mohabbat ka magar diwana hun main na be-qimat khazaf hun aur na lal-e-be-baha main to arbab-e-nazar ke zarf ka paimana hun meri rag rag mein hai mauj-e-zindagi raqsan magar ek lab-e-jaan-bakhsh ko tarsa hua paimana hun hun ba-zahir naqsh kuchh bikhre hue alfaz ka tum jo ai jaan-e-jahan samjho to ek afsana hun meri pamali ke charche tum bhi sun loge kabhi apne gulshan mein hun lekin sabza-e-begana hun dhundne niklenge mujh ko ek din ahl-e-wafa dafn hai ganjina-e-dil jis mein wo virana hun