mahram nahin hai tu hi nawa-ha-e-raaz ka yan warna jo hijab hai parda hai saz ka rang-e-shikasta subh-e-bahaar-e-nazara hai ye waqt hai shaguftan-e-gul-ha-e-naz ka tu aur su-e-ghair nazar-ha-e-tez tez main aur dukh teri mizha-ha-e-daraaz ka sarfa hai zabt-e-ah mein mera wagarna mein toama hun ek hi nafas-e-jaan-gudaz ka hain bas-ki josh-e-baada se shishe uchhal rahe har gosha-e-bisat hai sar shisha-baz ka kawish ka dil kare hai taqaza ki hai hunuz nakhun pe qarz is girah-e-nim-baz ka taraj-e-kawish-e-gham-e-hijran hua 'asad' sina ki tha dafina gohar-ha-e-raaz ka