mahsus kar raha hun tujhe khushbuon se main aawaz de raha hun bade faslon se main mujh ko mere wajud se koi nikal de tang aa chuka hun roz ke in hadson se main ye aur baat tujh ko nahin pa saka magar aaya tere qarib kai raston se main tai ho sakega mujh se na ye zat ka safar manus ho na paunga tanhaiyon se main hai mera chehra saikadon chehron ka aaina bezar ho gaya hun tamashaiyon se main