mahtab gul-bahaar hai badli kapas hai

mahtab gul-bahaar hai badli kapas hai
ye aasman zamin ka koi iqtibas hai

wo lakh khwab-nak sahi khwab bhi nahin
garche wo hai sarab magar aas-pas hai

baitha hua hun lag ke dariche se mahw-e-yas
ye sham aaj mere barabar udas hai

ek ishq ki hawas jo bahut ishq sa na ho
ek ramz ki kashish jo qarin-e-qayas hai

ek mor-pankh tak nahin suni dagar pe 'arsh'
dil ba'd-e-raqs-girya bahut be-asas hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close