mahw kar di zehn se gham ne teri taswir bhi

mahw kar di zehn se gham ne teri taswir bhi
donon dushman hain meri taqdir bhi tadbir bhi

muskuraati hai meri aankhon mein aansu dekh kar
kis qadar be-dard hai zalim teri taswir bhi

kis qadar nazuk hai ehsasat ka aalam ki ishq
ek hi nashsha hai lekin zahr bhi iksir bhi

in ke diwanon ki saj-dhaj ko hiqarat se na dekh
ishq ka zewar hain nadan tauq bhi zanjir bhi

ai 'dil' us ki yaad hai goya usi ka aaina
muzda-e-jaan-bakhsh bhi chalti hui shamshir bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close