mai ho abr o hawa nahin to na ho dard ho gar dawa nahin to na ho hum to hain aashna tere zalim tu agar aashna nahin to na ho dil hai wabasta tere daman se dast mera rasa nahin to na ho hum to teri jafa ke bande hain tujh mein rasm-e-wafa nahin to na ho aastan par to gir rahe hain agar teri majlis mein ja nahin to na ho hum to hain saf, bad-guman mere tere dil mein safa nahin to na ho dil ko iksir haigi teri nigah hawas-e-kimiya nahin to na ho hum to hasha nahin kisi se bure koi hum se bhala nahin to na ho talib-e-wasl kab talak rahiye ho to ho jae ya nahin to na ho 'hatim' ab kis ki mujh ko parwa hai koi mera juz khuda nahin to na ho