main agar naqsh banaun wo miTa sakta hai

main agar naqsh banaun wo mita sakta hai
ishq aandhi hai ghane ped gira sakta hai

khwab kya hai ye dahakta hua angara hai
chashm-e-barfab mein bhi aag laga sakta hai

sirf aankhen hi nahin sara badan khasta hai
dekh ye hijr kisi samt se aa sakta hai

mere sine pe lage zakhm gawahi dena
phul khil jae to mahaul saja sakta hai

waqt marham hai ye hansta hai hansata hai miyan
ye to taqdir ke matam ko bhula sakta hai

kya khabar kaun hai sufi hai qalandar hai ki ghaus
mere andar hi to hai mujh ko bula sakta hai

kitna tanhai ka sannata hai chaaron jaanib
sans lene se bhi ek shor sa aa sakta hai

khud se bichhda to tere dar pe chala aaya hun
ek tu hai jo mujhe mujh se mila sakta hai

main mohabbat hun azal aur abad mujh mein hain
mujh siwa kaun 'safi' mujh ko sama sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close