main andheron ka pujari hun mere pas na aa apne mahaul se aari hun mere pas na aa rup-mahlon ki tu rani hai tera nam bada main to kaliyon ka bhikari hun mere pas na aa meri aawaz ne kitne hi chaman phunk diye nala-e-subh-e-bahaari hun mere pas na aa ranj-o-alam ke sahraon mein dariya ban kar main bade zor se jari hun mere pas na aa thik hai dost wahi hun main tera 'ram' magar ab main haalat se aari hun mere pas na aa