main andheron ke nagar se bhi guzar aaya to kya bujh gain aankhen meri wo ab nazar aaya to kya kho gae din ke ujalon mein mere khwabon ke chand arsh se ab chand bhi koi utar aaya to kya main to ek gahre samundar mein utar jaane ko hun tu khiraj-e-ashk le kar ab agar aaya to kya ghar se aane wale tiron ka nishana ban gaya main muqabil ghair ke sina-sipar aaya to kya ye dar-o-diwar bhi ab to nahin pahchante main safar se laut kar bhi apne ghar aaya to kya bah gae sailab ke dhaaron mein jab sare makin ab tujhe 'akram' khayal-e-baam-o-dar aaya to kya