main apni wafaon ka bharam le ke chali hun

main apni wafaon ka bharam le ke chali hun
hathon mein mohabbat ka alam le ke chali hun

chalne hi nahin deti thi ek wade ki zanjir
mushkil tha magar bar-e-sitam le ke chali hun

kya puchhte ho mujh se mere zad-e-safar ka
asbab mein bas yaad-e-sanam le ke chali hun

jis shahr ke har mod pe kante hi bichhe hain
is shahr mein bhi zakhmi qadam le ke chali hun

koi bhi safar main ne adhura nahin chhoda
chalna hai to manzil ki qasam le ke chali hun

mujh ko hai yaqin harf ki hurmat pe hamesha
tanha thi magar apna qalam le ke chali hun

khush-bakht hai wo jis ke muqaddar mein 'iram' hai
main sath mein ek bagh-e-iram le ke chali hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close