main apni wusaton ko us gali mein bhul jata hun

main apni wusaton ko us gali mein bhul jata hun
na jaane kaun se jadu ke hathon mein khilauna hun

safar ye paniyon ka jab mujhe be-ab karta hai
main dariya ki rupahli ret ko bistar banata hun

sawalon ke kai patthar uthae log baithe hain
main apna nanha bachcha qabr mein dafna ke lauta hun

na jaane kis faza mein kho gaya wo dudhiya aanchal
ki jis ke faiz se main kitni aaankhon ka ujala hun

wo suraj mere chaaron samt hai phaila hua lekin
main akasr ajnabi dhundlahaton mein dub jata hun

lipat jati hai meri ungliyon se khud shafaq aa kar
sahar ki samt jab main apne hathon ko badhata hun

koi to hai ki jo mujh ko ujale bakhsh jata hai
ba-zahir main kisi tarik tapu mein akela hun

mere sine mein 'amabar' ek dhanak si phail jati hai
main apne aansuon ki chandni mein sher likhta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close