main aur ham-aghosh hun us rashk-e-pari se

main aur ham-aghosh hun us rashk-e-pari se
kab is ki tawaqqoa mujhe be-baal-o-pari se

jagenge nasib apne na aah-e-sahari se
aagah hain us aah ki hum be-asari se

hai wasl ki khwahish tujhe us rashk-e-pari se
hairan hun main ai dil teri behuda-sari se

iman mein zahid ke bhi aa jae tazalzul
dekhe jo mera but use kafir-nazari se

in aankhon ke raste se mere dil mein chale aae
is tarah gharaz pahunche wo khushki mein tari se

qasid se na bardasht hue un ke mazalim
baz aaya wo aakhir meri paigham-bari se

aanchal ki hawa de koi is ghuncha-e-dil ko
wa ho nahin sakta ye nasim-e-sahari se

ye shisha-e-dil den to hum ai tifl-e-pari-ru
par is mein na baal aae teri be-hunari se

hosh ud gae jata raha qabu se dil apna
aankhen jo meri chaar huin ek pari se

kab hath utha kar main dua wasl ki mangun
fursat hai junun mein kab inhen jama-zari se

bazu bhi hilae bahut aur panw bhi patke
par ud na saki chaal teri kabk-e-dari se

'ranjur' na hoga maraz-e-ishq se jaan-bar
ai chaaragar ab hath utha chaaragari se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close