main bhag ke jaunga kahan apne watan se jita hun masaib ki baqa mere liye hai sach bolne wale ko daraate ho sitam se ruk jao thahar jao jaza mere liye hai afsos kati umr kutub-khanon mein lekin ye wusat-e-sahra ye faza mere liye hai mein rah-e-yagana pe hamesha se chala hun ruswai tabahi to sada mere liye hai mujrim hun ki fascism ke sae mein hun jita 'baqar' ko bacha lo ye saza mere liye hai