main bhi aage badhun aur bhid ka hissa ho jaun is se achchha to yahi hai ki main tanha ho jaun pyas ko meri jo ek jam na de paya kabhi tishnagi us ki ye kahti hai main dariya ho jaun mujh ko jakde hue rishton ki haqiqat mat puchh bas chale mera agar to main akela ho jaun le ke jaun kahan ehsas-e-wafadari ko dil to kahta hai ki main bhi tere jaisa ho jaun ho kisi taur to duniya ki tawajjoh mujh par ek do pal ke liye main bhi tamasha ho jaun dil ki majburi ajab chiz hai warna 'jawed' kaun chahega bhala khud ki main ruswa ho jaun