main bhi hun ek makan ki had mein yani zinda hun apne marqad mein khamushi se ye zist kar jao gunjna kya zamin ke gumbad mein bhulta hi nahin kahin bhi tu mai-kade mein rahun ki mabad mein wo bhi kya khub hain jo puchhte hain kaun si khubiyan hain murshid mein fal-nama hai zindagi bhi 'zafar' ji raha hun huruf-e-abjad mein