main bhi huzur-e-yar bahut der tak raha aankhon mein phir khumar bahut der tak raha kal sham mere qatl ki tarikh thi magar dushman ka intizar bahut der tak raha ab le chala hai dasht mein mera junun mujhe is jin pe ikhtiyar bahut der tak raha wo inkishaf-e-zat ka lamha tha khul gaya shayad darun-e-ghaar bahut der tak raha ab dekhte ho koi sahaara mile tumhein main bhi to ashk-bar bahut der tak raha tum maslahat kaho ya munafiq kaho mujhe dil mein magar ghubar bahut der tak raha main khak aasman ki bulandi ko dekhta apnon pe e'tibar bahut der tak raha ilzam-e-khud-sari bhi to sabit kiya gaya main jab ki khaksar bahut der tak raha 'sahil' meri bala se mera hashr hoga kya duniya mein ba-waqar bahut der tak raha