main dar raha hun har ek imtihan se pahle mere paron ko hua kya udan se pahle mere nasib mein raston ki dhul likkhi thi na mil saki mujhe manzil takan se pahle ye kaun shakhs tha chaalak kis qadar nikla ki baat chhed gaya darmiyan se pahle main us ke dard ka darman to jaanta tha magar wo kuchh to bolta apni zaban se pahle tum us ke ghar ki taraf chal pade to ho lekin koi padaw nahin aasman se pahle khada hun aaj main 'anjum' yaqin ki sarhad par ajib karb mein gum tha guman se pahle