main ek hath teri maut se mila aaya tere sirhane agarbattiyan jala aaya mahakte bagh sa ek khandan ujad diya ajal ke hath mein kya phul ke siwa aaya tera khayal na aaya so teri furqat mein main ro chuka to mere dil ko sabr sa aaya misal-e-kunj-e-qafas kuchh jagah thi tere qarib main apne nam ki takhti wahan laga aaya makan apni jagah se hata hua tha 'zafar' na jaane kaun sa lamha gurez-pa aaya