main ek sham jo lauta ghubar-e-jaan ban kar bikhar ke rah gaya rahon ki dastan ban kar main khud mein gunjta hun ban ke tera sannata mujhe na dekh meri tarah be-zaban ban kar main apne aap ka wo shor tha tujhe pa kar tujhe dara diya aawaz-e-be-aman ban kar har ek shakhs hai afwah aap hi apni har ek ko jaanta hai har koi guman ban kar tamam samten palatti si jaan padti hain pahunch raha hun kahan dard-e-la-makan ban kar ye kis ko dhund raha hun main ek arse se khud apna hi koi bhatka hua nishan ban kar jo khud the apni sada ka yaqin wahi to hain hum pahad jaise koi ud gaya dhuan ban kar tu kar ke radd mujhe khud ko zara qubul to kar khada hun tere liye ek imtihan ban kar khud apni baat ka dukh ban ke rah na ja ai 'talkh' har ek dil mein sama ja gham-e-jahan ban kar