main ghaar mein tha aur hawa ke baghair tha ek roz aaftab ziya ke baghair tha sahil pe aa ke dub gai naw apne aap ek shakhs us mein apni raza ke baghair tha sab ro rahe the khauf ki diwar se lage kohram tha ki saut-o-sada ke baghair tha kyun naqsh-e-pa tamam kisi daere mein the ye kaun tha jo dast-e-dua ke baghair tha 'faisal' jo shahr aap hi mismar ho gaya kya ilm kab se hamd-o-sana ke baghair tha