main ghar se dur utaq-e-badan mein rahta hun sawad-e-hijr ke bab-e-kuhan mein rahta hun kahin to rahna hai jab tak mila hai izn-e-qayam so harf-o-saut ke shahr-e-sukhan mein rahta hun main aks hun tere pairahan-e-gul-o-mul ka main ek rang hun barg-e-saman mein rahta hun kabhi hun zulf ki zholidagi mein warafta kabhi main teri jabin ki shikan mein rahta hun misal-e-bosa-e-doshizgan-e-shahr-e-jamal tere labon ke gulabi chaman mein rahta hun miyan-e-chashm-zadan dhundh mujh ko palkon mein kahin nahin hun tilism-zadan mein rahta hun jahan se tu ne nikala mere ab-o-jad ko main aaj bhi usi bagh-e-adan mein rahta hun wahi hua hun ghazal-e-safa ke nafe mein main mushk-e-la hun hawa-e-khutan mein rahta hun hai panjand ki guzargah mera nisf khayal main nisf wadi-e-gang-o-jaman mein rahta hun zamin mere liye sair-gah hai 'masud' main shams-zad hun nile gagan mein rahta hun