main gharib tha sahi par mera ishq tha nirala chalo yaad to karega mujhe bhul jaane wala na jalao reg-e-tafta mere dil ko yun khuda-ra kahin phat gaya jo dekho mere panw ka ye chhaala kabhi sher mein saraha kabhi nazm mein piroya main ne aatish-e-nihan se tere husn ko ujala meri jaan ki aman ho main ne ki bayan haqiqat nahin hazm hoga tujh ko ye gharib ka niwala main zamin mein gad gaya tha tujhe dekh kar nashe mein miyan kal jo mughbachon ne teri pagdi ko uchhaala mujhe sharm aa rahi hai hare bagh mat dikhana tujhe yaad ho jo nanga bhare bagh se nikala