main gum hun aap apni justuju mein bhare hue rup rang-o-bu ka

main gum hun aap apni justuju mein bhare hue rup rang-o-bu ka
zawal ki mere dastan hai jise fasana kahen numu ka

tumhaari gar justuju na karte to hum jahan the wahin pe tum the
hum apni manzil se badh gae hain bura ho is zauq-e-justuju ka

meri mohabbat ki intiha thi mere takhayyul ki but-tarashi
bikhar gai aarzu ki punji tilism tuta jo rang-o-bu ka

talab ke sahra ka zarra-zarra hai khanda-zan sai-e-raegan par
sula de ab ai nasim-e-ghaflat ki thak gaya panw justuju ka

teri tamanna na sah sakegi malamat-e-sharm-e-na-rasai
khud apne daman ko tu jhuka de ki tham le hath aarzu ka

bala hui hum ko apni jurat agarche haqdar bhi hamin the
chura ke le aae mai-kade se jo bar uthne laga subu ka

tumhi kaho kya ye sach nahin hai ki tum ne chaha to hum ne chaha
hamara sajda to ek karishma hai iltifat-e-bahana-ju ka

libas jo zindagi ne bakhsha use kiya hum ne para-para
hamari diwangi ko 'rizwi' ishaara kafi tha ek hu ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close