main haqiqat mein kabhi ghair pe mail na hua na mila us se jo wajh-e-khalish-e-dil na hua umr-bhar teri tamannaen mere dil mein rahin dil magar teri tamannaon ke qabil na hua ho gai dard ye darman-talabi hi yani tum se milne se ba-juz ranj ke hasil na hua na ho sharminda jafa kar ke main qurban tere ye inayat bhi bahut hai ki tu ghafil na hua sham-e-kushta ka wo manzar wo widaa-e-mahfil khair ye guzri ki parwana-e-mahfil na hua log samjha kiye har rang mein shamil mujh ko warna 'maikash' main kisi rang mein shamil na hua