main isi soch mein rahta hun kidhar jati hai

main isi soch mein rahta hun kidhar jati hai
teri khushbu jo mujhe chhu ke guzar jati hai

khat ke badle unhen kuchh phul pahunch jate hain
meri tahrir ba-alfaz-e-digar jati hai

mujh ko aawara-nigahi ka tu ilzam na de
tere dhoke mein hasinon pe nazar jati hai

iztirab-e-nigah-e-shauq pe aati hai hansi
tere hote jo nazar jaanib-e-dar jati hai

the to ghusse mein magar hans bhi diye hain aise
fasl-e-gul jate hue jaise thahar jati hai

main jise kahne ko bechain hun un se 'hadi'
jaane kyon dhyan se wo baat utar jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close