main jab bhi yaad ki shamen jala ke rakhti hun ye meri zid hai ki aage hawa ke rakhti hun main tut sakti hun lekin main jhuk nahin sakti shikast-e-zat mein pahlu ana ke rakhti hun wo baadban hai agar kashti-e-mohabbat ka main baadban se rishte hawa ke rakhti hun nahin hai ghar mein teri yaad ke alawa kuchh to kis ke samne chae bana ke rakhti hun tumhaare khat hain mahakte gulab ke manind wo aur khulte hain jitna chhupa ke rakhti hun jo kahna chahti hun wo to kah nahin pati zaban pe tazkire aab-o-hawa ke rakhti hun main jaanti hun ki aana nahin kisi ne 'qamar' magar munder pe shamen jala ke rakhti hun