main jab chhota sa tha kaghaz pe ye manzar banata tha khujuron ke darakhton ke tale ek ghar banata tha main aankhen band kar ke sochta rahta tha pahron tak khayalon mein bahut nazuk sa ek paikar banata tha main akasr aasman ke chand tare tod lata tha aur ek nannhi si gudiya ke liye zewar banata tha uda kar roz le jati thin maujen mere khwabon ko magar main bhi gharaunde roz sahil par banata tha meri basti mein mere khun ke pyase the sab lekin na main talwar gadhta tha na main khanjar banata tha hidayat-kar is duniya ke natak mein mujhe 'wali' kabhi hero banata tha kabhi joker banata tha