main jab wajud ke hairat-kade se mil raha tha

main jab wajud ke hairat-kade se mil raha tha
mujhe laga main kisi moajize se mil raha tha

main jagta tha ki jab log so chuke the tamam
charagh mujh se mere tajarbe se mil raha tha

hawas se hota hua aa gaya main ishq ki samt
ye silsila bhi usi raste se mil raha tha

khuda se pahli mulaqat ho rahi thi meri
main apne aap ko jab samne se mil raha tha

ajib lai thi jo tasir de rahi thi mujhe
ajib lams tha har zawiye se mil raha tha

main us ke sina-e-shaffaf ki hari lau se
dahak raha tha so pure maze se mil raha tha

sawab-o-taat-o-taqwa fazilat-o-alqab
pade hue the kahin main nashe se mil raha tha

tere jamal ka bujhna to lazmi tha ki tu
baghair ishq kiye aaine se mil raha tha

zamin bhi mere aaghosh-e-surkh mein thi 'ali'
falak bhi mujh se hare zaiqe se mil raha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close