main jis jagah hun wahan bud-o-bash kis ki hai mere badan ke kafan mein ye lash kis ki hai tujhe khayal mein la kar gul-o-nujum ke sath ye dekhna hai ki achchhi tarash kis ki hai khayal-o-khwab ki galiyon mein bhi hai virani meri udas nazar ko talash kis ki hai tumhaara kaam nahin to phir intizam hai kya dil-o-jigar pe ye ek ek kharash kis ki hai jo aap apni hi pasmandagi pe naz kare main khud nahin to ye tarz-e-maash kis ki hai