main khizan ko bahaar karta hun jabr ko ikhtiyar karta hun maut ki tarah kash bar-haq ho jis ka main intizar karta hun ahd-o-paiman par nahin lekin aap par e'tibar karta hun jo kare yaad dushmani mein bhi aise dushman ko pyar karta hun apne zarraat ko khayalon ke gauhar-e-ab-dar karta hun dil-nashin mukhtasar salis aasan shaeri ba-waqar karta hun