main ki khuddar tha thahra na kisi chhanw tale go ki raste mein mile the kai ashjar ghane zehn wo shahr jahan nit naya haijaan rahe dil wo basti ki jahan khwab ugen dard pale zindagani ye teri tez-rawi thik nahin koi chehra to zara der nigahon mein rahe kab shab-o-roz ke hangam ne mohlat bakhshi main ne dauran-e-safar hi nae ashaar kahe