main koi dasht main diwar nahin kar sakta shahr ab mujh pe kabhi war nahin kar sakta main nahin chahta har dam teri yaadon ka hujum apni tanhai mein darbar nahin kar sakta tera gham ho ki gham-e-dahr uthane mein hai kya kaam kya hai jo ye bimar nahin kar sakta ek imarat mere andar hui mismar to ab kya mujhe waqt sar-e-dar nahin kar sakta apni qimat mujhe malum hai darbar-e-sukhan teri qimat pe ye bazar nahin kar sakta