main kya hun mujhe tum ne jo aazar pe khincha duniya ne masihaon ko bhi dar pe khincha zindon ka to maskan bhi yahan qabr-numa hai murdon ko magar darja-e-autar pe khincha wo jata raha aur main kuchh bol na paya chidiyon ne magar shor sa diwar pe khincha kuchh bhi na bacha shahr mein juz rone ki rut ke har shoala-e-awaz ko malhaar pe khincha yusuf kabhi nilam hua karta tha lekin yusuf ko bhi is shahr ne hai dar pe khincha phute hain mere dil mein phir inkar ke sote phir dil ne mujhe haalat-e-dushwar pe khincha har shai ki haqiqat mein utar jaen ab aankhen zulmat ne mujhe dida-e-bedar pe khincha dukh aalam-e-insan ke the jo wo chhupae khat chand ko sar karne ka akhbar pe khincha tum ne to 'faqih' apni ana kas ke mujhe bhi paikan ki tarah haalat-e-paikar pe khincha