main kya karun yahin karna hai intizar mujhe isi jagah to mila tha wo pahli bar mujhe bisat-e-zist pe bazi palat bhi sakti hai tera nasib jo mil jae mustaar mujhe usi ne mujh ko bana kar sipurd tere kiya zara saliqe se ai zindagi guzar mujhe bina lagam ke baitha diya hai malik ne tu khwah-makhwah samajhta hai shahsawar mujhe khata muaf ho is ki bhi kya zarurat thi barae nam jo bakhsha hai ikhtiyar mujhe talash-e-rizq mein ghar se nahin nikalta agar to karna padta mayassar pe inhisar mujhe tu ai zamir jahan mujh ko le ke baitha hai usi maqam pe rakhiyo tu barqarar mujhe qasam na kha teri fitrat se khub waqif hun hai teri wada-khilafi ka e'tibar mujhe ye zindagi jo kahin chain se nahin guzri tamam umr rahi fikr-e-rozgar mujhe main in khalaon mein gumnam ho na jaun kahin uruj-e-fan meri dahliz par utar mujhe