main lauh-e-arz par nazil hua sahifa hun dilon pe sabt hun peshaniyon pe likkha hun purani rut mera muzhda suna ke jati hai nai ruton ke jilau mein sada utarta hun main kaun hun mujhe sab puchhne se darte hain main roz ek nae karb se guzarta hun main ek zinda haqiqat hun kaun jhutlae jo hont band rahen aankh se chhalakta hun khuli hawa mein jo aaun to rakh ban jaun abhi main zer-e-zamin hun magar ubalta hun kisi tarah to saweron ki aankh khul jae main shahr shahr mein suraj uthae chalta hun