main na thahrun na jaan tu thahre kaun lamhon ke ru-ba-ru thahre na guzarne pe zindagi guzri na thaharne pe chaar-su thahre hai meri bazm-e-be-dili bhi ajib dil pe rakkhun jahan subu thahre main yahan muddaton mein aaya hun ek hangama ku-ba-ku thahre mahfil-e-rukhsat-e-hamesha hai aao ek hashr-e-ha-o-hu thahre ek tawajjoh ajab hai samton mein ki na bolun to guftugu thahre kaj-ada thi bahut umid magar hum bhi 'jaun' ek hila-ju thahre ek chaak-e-barhngi hai wajud pairahan ho to be-rafu thahre main jo hun kya nahin hun main khud bhi khud se baat aaj du-badu thahre bagh-e-jaan se mila na koi samar 'jaun' hum to numu numu thahre