main nae azm-e-safar se nikla sar pe suraj liye ghar se nikla sang-dil shakhs ke aansu dekhe mom patthar ke jigar se nikla is haweli se ki is gumbad se dekhna chand kidhar se nikla ek to khud hi khabar thi jaan-soz phir wo matlab jo khabar se nikla aamne-samne the dair-o-haram main bahut bach ke udhar se nikla dushman-o-dost ko pahchan liya bund bhar khun to sar se nikla