main pahle dil ke liye hausla banata hun phir us ke baad koi aasra banata hun main be-murad nazar aa raha hun logon ko main dusron ke liye rasta banata hun main manta bhi nahin koi karsaz bhi hai magar zamin pe bahut se khuda banata hun agar hijab na hota to sab se kah deta main kaise hijr ko lazzat-faza banata hun zamane bhar ke andheron se jang hoti hai main raushni ke liye jab diya banata hun ye shahr-e-ishq mere waste naya hai miyan ab aaya hun to koi silsila banata hun