main rang-e-asman kar ke sunahri chhod deta hun watan ki khak le kar ek mutthi chhod deta hun ye kya kam hai ki haqq-e-khud-parasti chhod deta hun tumhaara nam aata hai to kursi chhod deta hun main roz-e-jashn ki tafsil likh kar rakh to leta hun magar us jashn ki tarikh khali chhod deta hun bahut mushkil hai mujh se mai-parasti kaise chutegi magar han aaj se firqa-parasti chhod deta hun khud apne hath se rasm-e-widai kar to di par ab koi baraat aati hai to basti chhod deta hun tumhaare wasl ka jis din koi imkan hota hai main us din roza rakhta hun burai chhod deta hun hukumat mil gai to un ka kucha chhut jaega isi nuqte pe aa kar baadshahi chhod deta hun mubarak ho tujhe sad-afrin ai shan-e-mahrumi tere pahlu mein aa ke ghar-grihasti chhod deta hun