main ro ke aah karunga jahan rahe na rahe zamin rahe na rahe aasman rahe na rahe rahe wo jaan-e-jahan ye jahan rahe na rahe makin ki khair ho ya rab makan rahe na rahe abhi mazar par ahbab fatiha padh len phir is qadar bhi hamara nishan rahe na rahe khuda ke waste kalma buton ka padh zahid phir ikhtiyar mein ghafil zaban rahe na rahe khizan to khair se guzri chaman mein bulbul ki bahaar aai hai ab aashiyan rahe na rahe chala to hun pae izhaar-e-dard-e-dil dekhun huzur-e-yar majal-e-bayan rahe na rahe 'amir' jama hain ahbab dard-e-dil kah le phir iltifat-e-dil-e-dostan rahe na rahe