main 'shad' tanha ek taraf aur duniya ki duniya ek taraf sara samundar ek taraf aansu ka qatra ek taraf us aafat-e-jaan ko bhi chehra to dikhana hi na tha ek samt isa dam-ba-khud ghash mein hai musa ek taraf apne samand-e-naz ko ai shahsawar aa chhed kar saf-basta hazir kab se hain mahw-e-tamasha ek taraf saqi baghair ahwal ye pahuncha hai mai-khane ka ab jam ek taraf hai sar-nigun khali hai mina ek taraf furqat mein sab achchhe rahe dil ka magar ye haal hai zakhm ek taraf badhta gaya dagh-e-suwaida ek taraf didar-e-jaanan ka bhala kyun kar tahammul ho sake tirchhi nigahen ek su zulf-e-chalipa ek taraf wo tegh le ke kahte hain dekhun to haq par kaun hai main ek taraf 'shad' ek taraf sara zamana ek taraf