main shajar hun aur ek patta hai tu meri hi to shakh se tuta hai tu shaeri mein roz tufan se lada kya samundar mein kabhi utra hai tu subh tak sahmi rahin aankhen meri khwab kaisi rah se guzra hai tu kya khabar kab sath mera chhod de aankhon mein thahra hua qatra hai tu kuchh kami shayad teri mitti mein hai jab sameta dil tujhe bikhra hai tu waqt-e-rukhsat tu bura mat kah ise umr bhar is jism mein thahra hai tu buz-dili kewal mere andar hai kya yun mujhe hairat se kyun takta hai tu ye teri sazish hai ya phir ittifaq main jahan duba wahin ubhra hai tu jo andhere mein kahin gum ho gaya sochta hun kya wahi saya hai tu kya khabar mukhbir hawa ka ho wahi ai diye jis ke liye jalta hai tu zindagi ne phir tujhe uljha liya main na kahta tha abhi bachcha hai tu